Saturday, January 20, 2007

Prof kehte hain ...

Prof kehte hain ... ( inspired by Papa kehte hain frm QSQT !)
Dedicated to the b-school goers !

Here it goes :

Doston, Aaj submission ka aakhiri din hai …
Aur sabhi ne apne project ke baare mein kuch soch rakha hai
But maine kuch nahi socha hai …
Really … I mean it …

Aur aaj baar baar mere dimaag mein yahi baat aati hai …

Prof kehte hain badaaa naam karega,
Student hamaara aisa kaam karega,
Magar yeh to ..
Koi na jaane … ki meri slides … hai kahaaan …


Baithe hain milke, sab project mates apne …
Sabke dilo mein armaan ye hai …
Wo presentation mein, kal kya kya bolegaa …
Har ek nazar ka sapna yeh hai
Koi introduction ka kaam karegaa
Globe maarne mein koi apna naam karega

Magar yeh to ..
Koi na jaane … ki meri slides … hai kahaaan …


Mera to sapna … hai i-bank jaana …
Dekhoon jo usko jhoome bahaar …
Account mein khilta dollar ka mausam,
Style mein jaadooo, bangla aur car !
Banda ye khoobsurat kaam karega …
Powerpoint ki duniya mein apna naam karega …


Magar yeh to …
Koi na jaane … ki meri slides … hai kahaaan …

No comments: